Meri Dua tere Rakhsh e Saba Khram kay Naam

Advertisements
Urdu Ghazal Shayri


Meri Dua tere Rakhsh e Saba Khram kay Naam
Saba kay Hath usay yeh Payam Pohnche
Kay mene apni Muhabbat Supurd ki hai Tujhe
So dekh! meri Imanat Sambhal kay Rakhna
Usay Bahar ki Naramhaton ne Pala hai
So us ko Garam Hawa say bohat Bacha kay Rakhna
Yeh gull Uzar nahi Ashna e sakhti Gull
Yeh sath ho to Bohat ehtiat se Chalna
Mazah us ka to Hawaon ki Tarah Sarkash hai
So as ke Janbhis abru ko Dekhte Rehna
Nahi yeh sun'ne ka Aadi nahi Raha hai Kabhi
So iski Baat wo kaisi ho, Mante Rehna
Itaat iski behar gam Aap hai tera Kaam
Hawa kay sath isko yeh Payam bhi Pohnche
Kay Khush Naseeb hai tu iska Humsafar thera
Main tera Bakht thi, Us say Bicharr gayi Kab ki
Bhatak Rahi hoon ghane Jungalo mein ab Tanha
Tu us kay lams se her Roz Zindagi Paye
Main us kay Hijar mein her Raat Lams e Mirg chakhu
Tere Galay mein wo her Roz Bahen Dalta hai
Mere badan ko wo Halka magar Naseeb nahi
Wo tere Jisam se kitna Qareeb hota Hai
Magar Main us ky badan ki Mehak Kahan se Dhoondoon
Kay Us kay Shehar ki Pagal Hawain mere Ghar
Na Jane kon see Galiyon say ho kay ayi hain
Kay wo Mehak kahin Raste mien Choot Jati Hai
Usi ki yad mein hoti hai ab to Subah O Sham
Hawa kay Hath usay yeh Payam bhi Pohnche
Kay teri umar Khuda e Azak Daraz Kare
Jo Khawab bhi teri Ankhon mein ho wo pura ho
Kay tere sath us ko bohat Khushi di Hai
Wo apne sare Rafeeqon mein sar buland hua
Shaksta Dil tha Magar aaj Arjmand hua
Ghareeb e Shehar ko jeene ka Aasra to diya
Bohat Udas tha,Tu ne usay Hansa to Diya
Main kis Zuban mein bta Tujh ko Shukriya Likhoon
Dua yeh hai kay Tujhe har Khushi Muyaser Ho

Isi tarah se Kabhi tu bhi Sar Utha kay Chalay
Kabhi tujhe bhi koi Bejhay Tehniyat Ka Payam
Hawa kay sath usay yeh Payam bhi Pohnche
Kay Apne Aaqa kay Humrao Sair ko Nikle
To Asp e Tazi. Kisi din Zaqand Aisi Bhare
Kay Urr kay mere Nagar, Mere Shehar aa Pohnche
Tamam Umar Duain Rahen gi Us kay Naam





Post a Comment

0 Comments