Ronaq-e Rahguzar Hai Tanhaai by Mohsin Naqvi

Advertisements
If you are searching for any Urdu Ghazals, Sad Poetry or even Shaam shayari but fount nothing? then don't be worried because today I am going to share a famous ghazal I hope you will like it.

Mohsin Naqvi Ghazals


Previously Shared: Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya by Nasir Kazmi

Read Ronaq-e Rahguzar Hai Tanhaai by Mohsin Naqvi

Ronaq-e rahguzar hai tanhaai, 
phir meri humsafar hai tanhaai. !

Chaand kyon mand padta jata hai, 
tu hai ya baam par hai tanhaai. !

Kya maseehaa’on ko talaash karen,
zakhm ki chaaragar hai tanhaai. !

Shaam-e ghum odh kar hi so jaao, 
shaam-e ghum se udhar hai tanhaai. !

Kirchiyon se bhi aks chunti hai, 
sangdil kis qadar hai tanhaai. !

Jinke mehmaan hon shab ke andeshe, 
aise logon ka ghar hai tanhaai. !

Lamha bhar ko hai saath saans’on ka, 
aur phir umar bhar hai tanhaai. !

Jaane kis ki talaash mein ‘Mohsin 
aaj kal dar-ba dar hai tanhaai. !!

So, in this post I have shared Ronaq-e-Rahguzar Hai Tanhaai by famous urdu poet Mohsin Naqvi and I hope you guys liked this poetry. Stay Tuned with us for more Zakhm Shayari, Tanahayi Shayari and Sad Poetry.

Post a Comment

0 Comments