Sab Se Chupa Ker Dard Jo Jo Muskura Diya

Advertisements
Dard Bhari Shayari
Best Dard Shayari in Urdu and Hindi

Sab Se Chupa Ker Dard Jo Jo Muskura Diya
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya

Lehje se uth raha tha Her ik durd ka dhuwa’n

Chehra bata raha tha ke kuch ghanwa diya

Awaz mein tehraoo tha ankhoon mein nami thi

Aur keh raha tha ke mein ne sab kuch bhula diya

Janay kia usko logoon se thien shikyatien

Tanhayoon ke dais mein khud ko basa diya

Khud bhi wo hum se bichar ker adhoora sa ho gaya
mujh ko bhi itne logoon mein tanha bana diya!!!

Post a Comment

0 Comments